I used to feel that Gulzar saahab is the best poet ever born. and I'm still firm on my belief. But, offlate I've started to read Mr. Kumar Biswas Ji's poetry too. It was KC's suggestion to me. And in no way I feel disappointed. Of what I've been able to read of his work, I'm presenting one poem here in this post. The reason I chose this one is that it's a multi-faceted multi-dimensional poem. It deals with various aspects that we observe around ourselves but we generally tend to ignore them. Here have a look-
sab faisle hote nahin sikke uchhaal ke,
ye dil ke maamle hain zaraa dekh bhaal ke,
mobile-internet ke daur ke aashiq ko kya pataa,
rakhte thay khat mein kaleja nikaal ke.
murda lohe se bhi auzaar banaane waale,
apne aansuon ko bhi hathiyaar banaane waale,
humko bekaar samajhte hain siyaasadna magar,
hum hain is mulq ki sarkaar banaane waale.
jo waqt ki aandhi se khabardaar nahin hai,
kuch aur hi hoga woh - woh kalaakaar nahin hai,
sadaa ye hai ki neendein chheen li dono ki aankhon se,
khataa ye thi ki dono ne milkar khwaab dekha tha.
pyaar jab jism ki cheekhon mein dafan ho jaaye,
odhni is tarah uljhe ki kafan ho jaaye,
ghar ke ehsaas jab baazaar ki sharton mein dhale,
ajnabi log jab humraah ban ke saath chale,
lubon se aasmaan tak sabki dua chubh jaaye,
bheed ka shor jab kaano' ke paas ruk jaaye,
nami ho laakh magar phir bhi muskuraayenge,
andhere waqt mein bhi geet gaayenge.
log kehte rahein is raat ki subah hi nahin,
keh do unse, unhe suraj ki roshni ka tajurba hi nahin,
wo ladaai ko bhale aar paar le jaayein,
loha le jaayein woh lohe ki dhaar le jaayein,
jiski chaukhat se taraazu tak ho unpar girvi,
us adaalat mein humein baar baar le jaayein,
hum agar gunguna bhi denge to woh sab ke sab-
humko kaagaz se haraa kar bhi haar jaayenge,
andhere waqt mein bhi geet gaaye jaayenge.
No comments:
Post a Comment