let it be,
let it be ab jaane de,
ro liya hai,
ab zara muskuraane de,
itna to haq banta hai mujhe ek chance to de de zindagi,
galtiyon wali list mitaane de,
story mein ek twist to aane de,
itna to haq banta hai mujhe ek chance to de de zindagi,
meri majbooriyon ki hai tujhko qasam,
chhod bhi de ab ye naaraazgi,
apno se kab tak yahaan koi rootha hai,
kya sahi,
kya nahin,
ye sikha de na,
bhoole ko ab raste pe to aane de,
itna to haq banta hai mujhe ek chance to de de zindagi...
fursat ki eeton se,
khushiyon ke chheenton se,
duniya hamaari banaaunga,
main sajaaunga ye waada hai mera,
sapno se sach ki jo duri hai woh tay karunga magar ye safar aadha mera aadha tera,
tu jo meri ore aadha qadam bhi chale,
main to oonchi neechi sadkon pe chal ke saaton samundar ki duri mitaaunga,
roothi hai jab tak main na jaunga,
tere dar pe hi raat bitaaunga,
itna to haq banta hai mujhe ek chance to de de zindagi...
teri raahon mein hoon khada,
toota,
haara,
tanha pada,
maana maine ki bhool hai,
lekin tera dil hai bada,
tere dil ke kisi kone mein hi sahi,
mujhe zara si jagah bhi mil jaaye to,
main usmein hi apni jannat bana lunga,
kaano' ko kheench ke do laga de na,
na-samajh ko zara samjha de na,
:-|
No comments:
Post a Comment