Thursday, August 4, 2011

Boondein . . .

Kabhi safed si oas mein chupchaap si so jaati hain boondein /
Kabhi aankhon ke paani mein chhup kar rulaati hain boondein /
Kuch log kehte hain ki jhoot hai ye magar /
Har waqt har pal mera saath nibhaati hain boondein . . .

Aksar khaamoshi ki aawaaz mein kuch lafz pehan kar aati hain /
Har ek dard ko khud mein samett kar meri tarah khush rehti hain /
Har lamha beet-ta hai ek arse jaisa /
Aur har arse mein jaane kya kya seh jaati hain boondein . . .

Jab saari saari raat neend nahi aati hai /
Jab koi khwahish khuli aankhon mein sapne le aati hai /
Aur woh sapne jab sach hone ko hote hain /
Tab khushiyaan ban kar aankhon se beh jaati hain boondein . . .

Naa jaane kya kuchh apne mein samett-ti hain boondein /
Upar se nahin kehti bas andar se dekhti hain boondein /
Jab koi nahin deta do kadam ka saath bhi /
Uss waqt mere saath akeli reh jaati hain boondein . . .

No comments:

Post a Comment