Wednesday, August 3, 2011

YAAD SHEHER

There is this show called "Yaad Sheher" with Neelesh Misra - India's first ever radio show of its kind. Monday to Friday, 9pm to 10 pm on BigFM. This is something that I rarely miss to switch on during the week days. My classes timing is 6pm to 9pm. As soon as I come out of my lectures, I just put on my headphone before getting to my bike. And for the next one hour, I cut myself off this materialistic world. This is the text from one of the show that I recorded on my cell. For NM, all I can I say is that I might be his biggest fan for his baritone clear voice. He has no face, but when I listen to Yaad Sheher I visit multiple experiences through his versatile voice pitching and voice modulation. It feels as if someone is sitting next to me and is doing the narration. I badly wish it continues even on weekends too. @neeleshmisra r u listening? #koschan Have a read-



Baat be-baat pe apni hi baat kehta hai // Mere andar mera chhota sa sheher rehta hai.


Mera andar ka sheher kaafi khubsurat sa lagta hai mujhe. Iski sadkein jaise mere liye hi bani hain. Kisi bhi raaste par chal padu', manzil hamesha ek ‘yaad’ hoti hai. Kabhi koi dhundli si yaad, kabhi koi muskuraati hui yaad, kabhi koi rulaati hui yaad, toh kabhi woh yaad jise mehsoos karke lage ki kaash main isey phir se jee lu'. Waise sach kahoon toh kuchh yaadein main chhup ke jee bhi leta hoon. Kabhi kabhi Papa ke scooter pe zidd karke ghoomne chala jaata hoon… OSCM ke lecture me us purane dost ke saath bekaar ki baatein bana kar has leta hoon...saat aath saal ki umr mein jaakar bade hone ke sapne dekh leta hoon...aur school ke dino mein jaakar bahut saarey paise kamaane ka bhi soch leta hoon. Sach poochho toh mazaa aata hai. Apni yaadon ko jaisa mann kahe waise jeene ki azaadi hai yahaan.

Meri yaadon ko meri hi zubaani kehta hai // Wohi chhota sa sheher jo mere andar rehta hai.


Mere sheher ke log bhi kaafi apne se lagte hain. Zyaadaatar mere dost hain yahaan par. Ek woh hai jo English test mein meri notebook mein jhaankta hai...ek woh hai jiske gifts mein hamesha ghadi hoti hai...ek wo bhi hai jiske saath Devanand aur Rajesh Khanna ki nakal kiya karte hain. Yahaan ke log mera kaafi khayaal rakhte hain. Asal zindagi se bhi zyaada. Mera bhi har waqt dil karta hai ki unhe khush dekhoon. Asal zindagi mein unse door reh kar ‘Yaad Sheher’ mein unse milu aur khoob saari baatein karoon. Is sheher mein mera woh dost bhi hai jo mere saath rehta hai, woh jiske saath ek hi plate mein khana khaane ki aadat si ho gayi thi. Main aur woh yahaan bhi ek hi kamre mein rehte hain. Kisi aur ko ‘room-mate’ ki jagah dekhne ka khayaal, khayaalon mein bhi nahin aa paya. Ismein mera woh dost bhi rehta hai jiske saath baatein hamesha ‘hello…thank you’ se shuru hoti hain. Hum yaad sheher mein bhi ek dusre ki baatein bina kahe hi samajh jaate hain aur yahan bhi kisi ko hamaare mazaak par hansi nahin aati. Par mujhe fark nahi padta. Kyuki yaad sheher mein guzaara har ek pal mujhe ek khushi si de jata hai.

Yahaan ke har bande ko mera apna kehta hai // Wohi chhota sa sheher jo mere andar rehta hai


Jis tarah koi shaayar apni tanhaayi se baatein kiya karta tha, main apne yaad sheher ki yaadon se baatein karta hoon. Mere saare din ka sukoon isi sheher me kahin chhupa hota hai. Usey dhoondte huye raaste mein kayi yaadein mujhey mil jaati hain. Main apne hisse ke waqt ke do pal unhe de deta hoon. Unhe chhu ke, mehsoos kar ke, ek aur baar jee ke..aage badh jaata hoon. Shayad is yaqeen ke saath ki woh saari yaadein mere Yaad Sheher mein mehfooz hain. Main dobara aaunga toh woh mujhe yahin kahin phir milengi.

Apni yaadon mein aksar mujhe kehta hai // Mere andar mera chhota sa sheher rehta hai.

2 comments:

  1. Wow... It's amazing... I am also a big fan of Ykib nd NM sir... Apne to yaad Shahar ka round lgwa dia fir s.. :) dhanyavad

    ReplyDelete
  2. Kitna sahi kaha h mere ander mera chota shehar rehta h. Iss duniya me hum sabke ander unka shehar rehta. Vo sheher Jo kanbi bahut haseen hota h to kabi veeraan.

    ReplyDelete