Thursday, August 4, 2011

Koshish ...

Wo roothey hain humse baat nahin karte /
Shikayat hai ki hum unhe yaad nahin karte /
Koi samjhaaye unhe ki ve hamaari jaan hain /
Ek nahin sau yaadein unpe qurbaan hain /
Bas ek baar jo galti maaf kar dein woh /
Dil pe lagaa chot ka nishaan saaf kar dein woh /
Toh is manaane ki koshish ko yaadon mein dhaal kar /
Hum rakhenge apni dosti dil se sambhaal kar . . .

No comments:

Post a Comment