Sunday, July 17, 2011

Another set of soulful poems from 'Udaan'

We all know Hindi Literature is dying but there are still some rays of Hope , may be in small pieces ,may be very rare but there are some Hopes.

This post is not the review of “UDAAN”.
I watched it so many times that i have remembered most of it’s poems. I just want to put some poems from this movie into my Blog Space.

Poem 1:-
“Darr lag raha hai ?”
“Hmm..”
“Dekh kabhi naa kabhi toh humko jaana tha, hamesha school mein thode hi rehna tha “
“Poem Sunega ?”
“Suna “

Chhoti-chhoti chithdaayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door aa aaye
Ki ab bhool gaye hain –
Joote kahaan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai ab bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki sharaarat
Jab tak inhe gudgudaati rahe.

Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahaan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin.

“Acchi lagi ?”
“haan”
“Samajh mein aayi ?”
“Naa “

Poem 2:-

“Sab Chhota shehar kaa Baap ek jaisaa hota hai”
“Family Business , very Good very Good “
“Dream Business , Very Bad very Bad “

Har Baal Ki Khaal Ki yeh Chhaal bhi kha Jaaye
Iske Haath Pad Jaaye Toh Din Mahina Saal Bhi Kha Jaaye
Kisi Behaal Ka Bachaa Haal woh haal Kha Jaaye
Bemaut Marte Mann Ka Yeh Malaal Kha Jaaye
Laalu Ka Laal Kha Jaaye Naksalbaari Ki Naal Kha Jaaye
Bachpan Ka Dhamaal Kha Jaaye, Budhaape Ki Shaal Kha Jaaye
Hayaa Toh Chhodo Behayaa Ki Chaal Bhi Kha Jaaye
Aur Agar Parosa Jaa Sake Toh Khayaal Bhi Kha Jaaye

Poem 3:-
Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zidd ka tumhare jo parda sarakta, khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hataate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

Meri tarah hota agar khud par zaraa bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zaraa sa, toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nashaa aasmaan ka jo choomta tumhe , hasratein tumhaari naya janm paati'n,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door hi sahi...
tum bhi saath-saath aate.

“Gruh-Shobha yaa Sarita mein Chhapega yaa koi aatthanni daal ke chala jayega “

:-)

No comments:

Post a Comment