Monday, July 25, 2011

Cigarette...

Whenever it comes to cigarette, one always recall these two beautiful compositions-
1. Har fikr ko dhuen mein udaataa chalaa gayaa...
2. Jab bhi cigarette jalti hai...

But I got through this poem randomly while going through a friend's blog which I find worth sharing. Remembering the good old times I had smoking with KC, Nirav Bhai, Somu and Vicky!

-------->

Phir Ek Cigarette Jalaa Raha Hoon,

Phir Ek Teeli Bujha Rahaa Hoon,

Unki Nazar Mein Ye Ek Gunaah hai,

Main Toh Unke Vaade Bhoola Rahaa Hoon,

Samajhnaa Mat Isko Meri Aadat Main Toh Bas... Dhuaan Udaa Rahaa hoon,

Ye Unki Yaadon Ke Silsile Hain,

Main Unki Yaadein Jalaa Rahaa hoon,

Apne Gham Ke Kisse Sunaa Rahaa hoon,

Agar Kisi Aur Ko Bhi Gham Hai Toh Paas Aaye,

Main Pee Rahaa Hoon Aur Pilaa Rahaa Hoon,

Hai Meri Aankhein Toh Aaj Num,

Magar Main Sabko Hansaa Rahaa Hoon.

Aaj Ek Aur Cigarette Jalaa Rahaa hoon,

Aaj Ek Aur Cigarette Jalaa Rahaa hoon....

No comments:

Post a Comment